main bhi shayad aap ko tanha milon
apni tanhai mein ja kar dekhiye
Mustafa Shahab
istiare zamin se jaen
ek ghazal aasman se utre
Mustafa Shahab
kar-e-zindagani ke shor-o-shar mein muddat se
us ko bhul jaane ka ehtimal rahta hai
Mustafa Shahab
kaha tha main ne kho kar bhi tujhe zinda rahunga
wo aisa jhuT tha jis ko nibhana paD gaya hai
Mustafa Shahab
KHauf ek bulandi se pastiyon mein rulne ka
aab-ju mein rahta hai aur nazar nahin aata
Mustafa Shahab
main aur mera shauq-e-safar sath hain magar
ye aur baat hai ki safar ho gae tamam
Mustafa Shahab
shayad wo bhuli-bisri na ho aarzu koi
kuchh aur bhi kami si hai teri kami ke sath
Mustafa Shahab
zehn mein yaad ke ghar TuTne lagte hain 'shahab'
log ho jate hain ji ji ke purane kitne
Mustafa Shahab
subh tak jaane kahan mujh ko uDa kar le jae
ek aandhi jo sar-e-sham chali hai mujh mein
Mustafa Shahab

