aad tauba ke bhi hai dil mein ye hasrat baqi
de ke qasmen koi ek jam pila de hum ko
Mirza Hadi Ruswa
hai yaqin wo na aaenge phir bhi
kab nigah su-e-dar nahin hoti
Mirza Hadi Ruswa
hans ke kahta hai musawwir se wo ghaarat-gar-e-hosh
jaisi surat hai meri waisi hi taswir bhi ho
Mirza Hadi Ruswa
dubki hui thi gurba-sifat KHwahish-e-gunah
chumkarne se phul gai sher ho gai
Mirza Hadi Ruswa
dilli chhuTi thi pahle ab lucknow bhi chhoDen
do shahar the ye apne donon tabah nikle
Mirza Hadi Ruswa
dil lagane ko na samjho dil-lagi
dushmanon ki jaan par ban jaegi
Mirza Hadi Ruswa
dekha hai mujhe apni KHushamad mein jo masruf
is but ko ye dhoka hai ki islam yahi hai
Mirza Hadi Ruswa
ut-parasti mein na hoga koi mujh sa badnam
jhenpta hun jo kahin zikr-e-KHuda hota hai
Mirza Hadi Ruswa