jilao maro durkaro bula lo galiyan de lo
karo jo chaho hum kis baat se ikrah rakhte hain
Mirza Azfari
ai musawwir shitab ho ki abhi
us ka naqsha dhiyan mein kuchh hai
Mirza Azfari
hum gunahgaron ke kya KHun ka phika tha rang
mehndi kis waste hathon pe rachai pyare
Mirza Azfari
hum faramosh ki faramoshi
aur tum yaad umr bhar bhule
Mirza Azfari
hai jaani tujh mein sab KHubi pa jaan sa
tu ek dam mein bichhaD jata hai mujh se
Mirza Azfari
dil liya tab-o-tawan le chuka jaan bhi le le
pak kar Dal bakheDa ye sabhi jhanjhaT ka
Mirza Azfari
dhani juDe pe tere sanwle main marta hun
mar bhi jaun to kafan dekh ke kahi dena
Mirza Azfari
e-ghami tark-e-alaiq hai sada 'azfariya'
jis ko duniya se ilaqa nahin ghamnak nahin
Mirza Azfari
ah chuka KHun-e-dil aankh tak aa pahuncha sail
roe ja aur bhi ai dida-e-tar dekhen to
Mirza Azfari