jab main kahta hun ki nadim ho kuchh apne zulm par
sar jhuka kar kahte hain sharm-o-haya se kya kahen
Mirza Asman Jah Anjum
jo kiya main ne wo sab kuchh tha bura
aap ne jo kuchh kiya achchha kiya
Mirza Asman Jah Anjum
KHizan ruKHsat hui phir aamad-e-fasl-e-bahaari hai
gareban KHud-baKHud hone laga hai dhajjiyan mera
Mirza Asman Jah Anjum
KHuda ka ghar bhi hai dil mein buton ki chah bhi hai
sanam-kada bhi hai dil apna KHanqah bhi hai
Mirza Asman Jah Anjum
KHud-ba-KHud yak-ba-yak chale aae
main to aankhen talak bichha na saka
Mirza Asman Jah Anjum
kuchh kahani nahin mera qissa
tum suno aur kaha kare koi
Mirza Asman Jah Anjum
kuchh nahin malum hota dil ki uljhan ka sabab
kis ko dekha tha ilahi baal suljhate hue
Mirza Asman Jah Anjum