ais-e-tark-e-mulaqat batao to sahi
chahne wala koi hum sa dikhao to sahi
Mirza Asman Jah Anjum
ata tu dil ke bachane ki koi rah bhi hai
teri nigah ki nawak-fagan panah bhi hai
Mirza Asman Jah Anjum
ewafa tum hue ki tark-e-mohabbat main ne
ishq-bazi mera shewa tha meri zat na thi
Mirza Asman Jah Anjum
dukhata hai mera dil be alif re
hua hun ranj se main ze alif re
Mirza Asman Jah Anjum
hath TuTen jo chhua bhi ho hath
dukh gai un ki kalai kyun-ka
Mirza Asman Jah Anjum
hum apni ruh ko qasid bana ke bhejenge
tera guzar jo wahan nama-bar nahin na sahi
Mirza Asman Jah Anjum
hum bhi ab apni mohabbat se uThate hain hath
chahne wala agar hum ko dikha aur koi
Mirza Asman Jah Anjum
hum lab-gor ho gae zalim
tu lab-e-baam kyun nahin aata
Mirza Asman Jah Anjum
abhi aae abhi kahne lage lo jate hain
aag lene ko jo aae the to aana kya tha
Mirza Asman Jah Anjum