koi tum sa bhi kash tum ko mile
muddaa hum ko intiqam se hai
Mir Taqi Mir
kohkan kya pahaD toDega
ishq ne zor-azmai ki
Mir Taqi Mir
kuchh ho rahega ishq-o-hawas mein bhi imtiyaz
aaya hai ab mizaj tera imtihan pa
Mir Taqi Mir
kuchh karo fikr mujh diwane ki
dhum hai phir bahaar aane ki
Mir Taqi Mir
kuchh nahin sujhta hamein us bin
shauq ne hum ko be-hawas kiya
Mir Taqi Mir
kya aaj-kal se us ki ye be-tawajjohi hai
munh un ne is taraf se phera hai 'mir' kab ka
Mir Taqi Mir
kya jaanun chashm-e-tar se udhar dil ko kya hua
kis ko KHabar hai 'mir' samundar ke par ki
Mir Taqi Mir
kya kahen kuchh kaha nahin jata
ab to chup bhi raha nahin jata
Mir Taqi Mir
kya kahun tum se main ki kya hai ishq
jaan ka rog hai bala hai ishq
what can I say of love to thee
soul's ailment and calamity
Mir Taqi Mir