hazaron ghar hue hain is se viran
rahe aabaad sarkar-e-mohabbat
Meer Mehdi Majrooh
itna mardud hun ki Dar hai mujhe
qabr se phenk de zamin na kahin
Meer Mehdi Majrooh
aa hi kuda tha dair mein waiz
hum ne Tala KHuda KHuda kar ke
Meer Mehdi Majrooh
jaan insan ki lene walon mein
ek hai maut dusra hai ishq
Meer Mehdi Majrooh
kaj-adai ye sab hamin tak thi
ab zamane ko inqalab kahan
Meer Mehdi Majrooh
kisi se ishq apna kya chhupaen
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
Meer Mehdi Majrooh
kuchh arz-e-tamanna mein shikwa na sitam ka tha
main ne to kaha kya tha aur aap ne kya jaana
Meer Mehdi Majrooh
kuchh ho majruh ghus chalo ghar mein
aaj dar us ka hai khula chaupaT
Meer Mehdi Majrooh
kya hamari namaz kya roza
baKHsh dene ke sau bahane hain
Meer Mehdi Majrooh