zara dekhe koi dair-o-haram ko
mera wo yar harjai kahan hai
Meer Mehdi Majrooh
jaan dene ke siwa aur bhi tadbir karun
warna ye baat to hum us se sada kahte hain
Meer Mehdi Majrooh
aamad aamad KHizan ki hai shayad
gul shagufta hua chaman mein hai
Meer Mehdi Majrooh
ab raqib-e-bul-hawas hain ishq-baz
dil lagane se bhi nafrat ho gai
Meer Mehdi Majrooh
abr ki tirgi mein hum ko to
sujhta kuchh nahin siwae shara
Meer Mehdi Majrooh
apni kashti ka hai KHuda hafiz
pichhe tufan hai samne girda
Meer Mehdi Majrooh
ek dal aur KHwast-gar hazar
kya karun yak anar sad bima
Meer Mehdi Majrooh
ghairon ko bhala samjhe aur mujh ko bura jaana
samjhe bhi to kya samjhe jaana bhi to kya jaana
Meer Mehdi Majrooh
har ek jaanta hai ki mujh par nazar paDi
kya shoKHiyan hain us nigah-e-sehr-kar mein
Meer Mehdi Majrooh