ah par un ko laga lae to hain baaton mein
aur khul jaenge do-chaar mulaqaton mein
Meer Asar
pahle sau bar idhar udhar dekha
jab tujhe Dar ke ek nazar dekha
Meer Asar
na kaha jae ki dushman na kaha jae ki dost
kuchh samajh mein nahin aata hai 'asar' kaun hai wo
Meer Asar
aasudgi kahan jo dil-e-zar sath hai
marne ke baad bhi yahi aazar sath hai
Meer Asar
kya kahun kis tarah se jita hun
gham ko khata hun aansu pita hun
Meer Asar
kuchh na likkha na paDha hun wale hun mani-shanas
muddaa tera samajhta hun ibaraat se main
Meer Asar
kin ne kaha aur se na mil tu
par hum se bhi kabhu mila ka
Meer Asar
kaam tujh se abhi to saqi hai
ki zara hum ko hosh baqi hai
Meer Asar
jis ghaDi ghurte ho ghussa se
nikle paDta hai pyar aankhon mein
Meer Asar

