hathon mein nazuki se sambhalti nahin jo tegh
hai is mein kya gunah tere jaan-nisar ka
Mardan Ali Khan Rana
aaKHir hua hai hashr bapa intizar mein
subh-e-shab-e-firaq hui marwaD mein
Mardan Ali Khan Rana
har dam dam-e-aKHir hai ajal sar pe khaDi hai
dam-bhar bhi hum is dam ka bharosa nahin karte
Mardan Ali Khan Rana
har-dam ye dua mangte rahte hain KHuda se
allah bachae shab-e-furqat ki bala se
Mardan Ali Khan Rana
harjaiyon ke ishq ne kya kya kiya zalil
ruswa rahe KHarab rahe dar-ba-dar rahe
Mardan Ali Khan Rana
hijr-e-jaanan mein ji se jaana hai
bas yahi maut ka bahana hai
Mardan Ali Khan Rana
ho gharibon ka chaak KHak rafu
tar hath aae jab na daman se
Mardan Ali Khan Rana
hua yaqin ki zamin par hai aaj chand-gahan
wo mah chehre pe jab Dal kar naqab aaya
Mardan Ali Khan Rana
jis ko dekho wo nur ka buqa
ye paristan hai ki london hai
Mardan Ali Khan Rana