ail par yar aaega shayad
muzhda-e-wasl aaj tar mein hai
Mardan Ali Khan Rana
asm ulTi hai KHub-ruyon ki
dost jis ke bano wo dushman hai
Mardan Ali Khan Rana
tere aate hi dekh rahat-e-jaan
chain hai sabr hai qarar hai aaj
Mardan Ali Khan Rana
tum ho mujh se hazar mustaghni
dil nahin mera yar mustaghni
Mardan Ali Khan Rana
tum ko diwane agar hum se hazaron hain to KHair
hum bhi kar lenge koi tum sa pari-ru paida
Mardan Ali Khan Rana
uThaya us ne biDa qatl ka kuchh dil mein Thana hai
chabana pan ka bhi KHun bahane ka bahana hai
Mardan Ali Khan Rana
ye raqibon ki hai suKHan-sazi
be-wafa aap hon KHuda na kare
Mardan Ali Khan Rana
hamare marg pe shadi abas aghyar karte hain
jahan se rafta-rafta ek din un ko bhi jaana hai
Mardan Ali Khan Rana
abru aanchal mein dupaTTe ke chhupana hai baja
turk kya myan mein rakhte nahin talwaron ko
Mardan Ali Khan Rana