na puchho ham-safaro mujh se majra-e-watan
watan hai mujh pe fida aur main fida-e-watan
Mardan Ali Khan Rana
le qaza ehsan tujh par kar chale
hum tere aane se pahle mar chale
Mardan Ali Khan Rana
labon pe jaan hai ek dam ka aur mehman hai
mariz-e-ishq-o-mohabbat ka tere haal ye hai
Mardan Ali Khan Rana
kyunkar baDhaun rabt na darban-e-yar se
aaKHir koi to milne ki tadbir chahiye
Mardan Ali Khan Rana
ki riya se na shaiKH ne tauba
mar gaya wo gunahgar afsos
Mardan Ali Khan Rana
KHuda ra bahr-e-istiqbaal jald ai jaan bahar aa
ayaadat ko meri jaan-e-jahan tashrif late hain
Mardan Ali Khan Rana
KHud ghalat hai jo kahe hoti hai taqdir ghalat
kahin qismat ki bhi ho sakti hai tahrir ghalat
Mardan Ali Khan Rana
kho gaya ku-e-dilruba mein 'nizam'
log kahte hain marwaD mein hai
Mardan Ali Khan Rana
khincha hai aks qalb ki photograph mein
shishe mein hai shabih pari koh-e-qaf mein
Mardan Ali Khan Rana

