ho jae jahan sham wahin un ka basera
aawara parindon ke Thikane nahin hote
Makhmoor Saeedi
ghar mein raha tha kaun ki ruKHsat kare hamein
chaukhaT ko alwidaa kaha aur chal paDe
Makhmoor Saeedi
gham o nashat ki har rahguzar mein tanha hun
mujhe KHabar hai main apne safar mein tanha hun
Makhmoor Saeedi
Dubne walon par kase duniya ne aawaze
sahil se karti rahi tufan ke andaze
Makhmoor Saeedi
dil pe ek gham ki ghaTa chhai hui thi kab se
aaj un se jo mile TuT ke barsat hui
Makhmoor Saeedi
uton ko pujne walon ko kyun ilzam dete ho
Daro us se ki jis ne un ko is qabil banaya hai
Makhmoor Saeedi
ujhti aankhon mein sulagte hue ehsas ki lau
ek shoala sa chamakta pas-e-shabnam dekha
Makhmoor Saeedi
as yunhi ham-sari-e-ahl-e-jahan mumkin hai
dam-ba-dam apni bulandi se utarta jaun
Makhmoor Saeedi