agar KHamosh rahun main to tu hi sab kuchh hai
jo kuchh kaha to tera husn ho gaya mahdud
Mahirul Qadri
aql kahti hai dobara aazmana jahl hai
dil ye kahta hai fareb-e-dost khate jaiye
Mahirul Qadri
ibtida wo thi ki jine ke liye marta tha main
intiha ye hai ki marne ki bhi hasrat na rahi
At the start, life prolonged,was my deep desire
now at the end, even for death, I do not aspire
Mahirul Qadri
ek bar tujhe aql ne chaha tha bhulana
sau bar junun ne teri taswir dikha di
Mahirul Qadri
naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai
wo nikli dhup saya ja raha hai
from the confines of the veil your face is now being freed
lo sunshine now emerges, the shadows now recede
Mahirul Qadri
parwane aa hi jaenge khinch kar ba-jabr-e-ishq
mahfil mein sirf shama jalane ki der hai
Mahirul Qadri
sunate ho kise ahwal 'mahir'
wahan to muskuraya ja raha hai
Mahirul Qadri
yahi hai zindagi apni yahi hai bandagi apni
ki un ka nam aaya aur gardan jhuk gai apni
Mahirul Qadri
ye kah ke dil ne mere hausle baDhae hain
ghamon ki dhup ke aage KHushi ke sae hain
Mahirul Qadri