tumhaare waste sab kuchh hai mere banda-nawaz
magar ye shart ki pahle pasand aao mujhe
Mahboob Khizan
palaT gain jo nigahen unhin se shikwa tha
so aaj bhi hai magar der ho gai shayad
Mahboob Khizan
meri nigah mein kuchh aur DhunDne wale
teri nigah mein kuchh aur DhunDta hun main
Mahboob Khizan
koi rasta kahin jae to jaanen
badalne ke liye raste bahut hain
Mahboob Khizan
ab yaad kabhi aae to aaine se puchho
'mahbub-KHizan' sham ko ghar kyun nahin jate
Mahboob Khizan
'KHizan' kabhi to kaho ek is tarah ki ghazal
ki jaise rah mein bachche KHushi se khelte hain
Mahboob Khizan
katraate hain bal khate hain ghabraate hain kyun log
sardi hai to pani mein utar kyun nahin jate
Mahboob Khizan
katraate hain bal khate hain ghabraate hain kyun log
sardi hai to pani mein utar kyun nahin jate
Mahboob Khizan
hawa chali to phir aankhon mein aa gae sab rang
magar wo sat baras lauT kar nahin aae
Mahboob Khizan

