hath pistan pe ghair ka pahuncha
aap bhi ab hue anar-farosh
Kishan Kumaar Waqaar
gar husn-e-gandumi tera un ko na tha pasand
aadam ne chhoDa kis liye bagh-e-bahisht ko
Kishan Kumaar Waqaar
ek jhuTe ke wasf-e-dandan mein
sachche moti sada pirota hun
Kishan Kumaar Waqaar
din lage hain ye raat ko meri
chashm-e-ahu charagh-e-sahra hai
Kishan Kumaar Waqaar
dhup mein rakh qafas na ai sayyaad
saya-parwarda-e-chaman hun main
Kishan Kumaar Waqaar
chhupta nahin hai dil mein kabhi raaz ishq ka
ye aag wo hai jis ko nahin tab sang mein
Kishan Kumaar Waqaar
osa dahan ka us ke na paenge apne lab
daghi hai main ne nok zaban-e-sawal ki
Kishan Kumaar Waqaar
a-qaid-e-waqt paDhi main ne panjgana namaz
sharab pine mein kuchh ehtiyat mujh ko nahin
Kishan Kumaar Waqaar
aiThe jo us gali mein na mar kar bhi uTThe hum
ek Dher gir ke ho gae diwar ki tarah
Kishan Kumaar Waqaar