main kahun aap tumhein aap kahen tum mujh ko
tum jatate nahin kis rose tahakkum mujh ko
Kishan Kumaar Waqaar
kuchh gham firaq ka hai na kuchh wasl ki KHushi
hun us ke zauq-o-shauq mein masrur raat din
Kishan Kumaar Waqaar
kis waste laDte hain baham shaiKH-o-barahman
kaba na kisi ka hai na but-KHana kisi ka
Kishan Kumaar Waqaar
jo mujh par hai wahi hai ghair par lutf
hua hai KHatma is par wafa ka
Kishan Kumaar Waqaar
jis ko pas us ne biThaya ek din
us ko duniya se uThaya ek din
Kishan Kumaar Waqaar
imsak mein rahegi na pabandi-e-mani
hargiz nahin hain mughbache bint-ul-inab se kam
Kishan Kumaar Waqaar
aariz pe rahi zulf-e-siyah-fam hamesha
pamal raha kufr ka islam hamesha
Kishan Kumaar Waqaar
hum bandagan-e-ishq ka maslak nirala hai
kafir ki is mein waza na din-dar ki tarah
Kishan Kumaar Waqaar
hai jab se dast-gir-e-junun ku-e-yar mein
phirta hun ek panw se parkar ki tarah
Kishan Kumaar Waqaar

