andheron mein bhaTakna hai pareshani mein rahna hai
main jugnu hun mujhe ek shab ki virani mein rahna hai
Khushbir Singh Shaad
ab andheron mein jo hum KHauf-zada baiThe hain
kya kahen KHud hi charaghon ko bujha baiThe hain
Khushbir Singh Shaad
ahut dinon se mere baam-o-dar ka hissa hai
meri tarah ye udasi bhi ghar ka hissa hai
Khushbir Singh Shaad
hanwar jab bhi kisi majbur kashti ko Dubota hai
to apni bebasi par dur se sahil taDapta hai
Khushbir Singh Shaad
chalo achchha hua aaKHir tumhaari nind bhi TuTi
chalo achchha hua ab tum bhi KHwabon se nikal aae
Khushbir Singh Shaad
ek hum hain ki parastish pe aqida hi nahin
aur kuchh log yahan ban ke KHuda baiThe hain
Khushbir Singh Shaad
hum apne ghar mein bhi ab be-sar-o-saman se rahte hain
hamare silsile KHana-KHarabon se nikal aae
Khushbir Singh Shaad
isi ummid par to kaT lin ye mushkilen hum ne
ab is ke baad to ai 'shad' aasani mein rahna hai
Khushbir Singh Shaad
kai na-ashna chehre hijabon se nikal aae
nae kirdar mazi ki kitabon se nikal aae
Khushbir Singh Shaad