andheron mein bhaTakna hai pareshani mein rahna hai
main jugnu hun mujhe ek shab ki virani mein rahna hai
Khushbir Singh Shaad
KHushiyan dete dete aksar KHud gham mein mar jate hain
resham bunne wale kiDe resham mein mar jate hain
Khushbir Singh Shaad
koi bhi yaqin dil ko 'shad' kar nahin sakta
ruh mein utar jae jab guman ki tanhai
Khushbir Singh Shaad
koi sawal na kar aur koi jawab na puchh
tu mujh se ahd-e-guzashta ka ab hisab na puchh
Khushbir Singh Shaad
kuchh talab mein bhi izafa karti hain mahrumiyan
pyas ka ehsas baDh jata hai sahra dekh ka
Khushbir Singh Shaad
main apne ru-ba-ru hun aur kuchh hairat-zada hun main
na jaane aks hun chehra hun ya phir aaina hun main
Khushbir Singh Shaad
main bar-ha teri yaadon mein is tarah khoya
ki jaise koi nadi jangalon mein gum ho jae
Khushbir Singh Shaad
main kab se nind ka mara hua hun aur kab se
ye meri jagti aankhen hain mahw-e-KHwab na puchh
Khushbir Singh Shaad
main ne to tasawwur mein aur aks dekha tha
fikr muKHtalif kyun hai shaeri ke paikar mein
Khushbir Singh Shaad