jism ki chaukhaT pe KHam dil ki jabin kar di gai
aasman ki chiz kyun sarf-e-zamin kar di gai
Khursheed Rizvi
aaKHir ko hans paDenge kisi ek baat par
rona tamam umr ka be-kar jaega
Khursheed Rizvi
hum ki apni rah ka patthar samajhte hain use
hum se jaane kis liye duniya na Thukrai gai
Khursheed Rizvi
hain meri rah ka patthar meri aankhon ka hijab
zaKHm bahar ke jo andar nahin jaane dete
Khursheed Rizvi
ikhar gaya to mujhe koi gham nahin is ka
ki raaz mujh pe kai wa hue bikharte hue
Khursheed Rizvi
as dariche se lage baiThe rahe ahl-e-safar
sabza jalta raha aur yaad-e-watan aati rahi
Khursheed Rizvi
ahut se rog dua mangne se jate hain
ye baat KHugar-e-rasm-e-dawa se kaun kahe
Khursheed Rizvi
aks ne mere rulaya hai mujhe
koi apna nazar aaya hai mujhe
Khursheed Rizvi
ab se pahle wo meri zat pe tari to na tha
dil mein rahta tha magar KHun mein jari to na tha
Khursheed Rizvi