zindagi! tujh ko magar sharm nahin aati kya
kaisi kaisi teri taswir nikal aai hai
Khursheed Akbar
gharibi kaTna aasan nahin hai
wo sari umr patthar kaTta hai
Khursheed Akbar
ai shahr-e-sitam-zad teri umr baDi ho
kuchh aur bata naql-e-makani ke alawa
Khursheed Akbar
aDi bholi hai KHarchili zarurat
shahanshahi kamai mangti hai
Khursheed Akbar
adan mein sans leta hai samundar
meri kashti hawa par chal rahi hai
Khursheed Akbar
chehre hain ki sau rang mein hote hain numayan
aaine magar koi siyasat nahin karte
Khursheed Akbar
dalilen chhin kar mere labon se
wo mujh ko mujh se behtar kaTta hai
Khursheed Akbar
dard ka zaiqa bataun kya
ye ilaqa zaban se bahar hai
Khursheed Akbar
dil hai ki tere panw se pazeb giri hai
sunta hun bahut der se jhankar kahin ki
Khursheed Akbar