hudud-e-shahr se bahar bhi bastiyan phailin
simaT ke rah gae yun jangalon ke ghere bhi
Khaleel Tanveer
ab ke safar mein dard ke pahlu ajib hain
jo log ham-KHayal na the ham-safar hue
Khaleel Tanveer
harf ko barg-e-nawa deta hun
yun mere pas hunar kuchh bhi nahin
Khaleel Tanveer
hadson ki mar se TuTe magar zinda rahe
zindagi jo zaKHm bhi tu ne diya gahra na tha
Khaleel Tanveer
ghar mein kya gham ke siwa tha jo baha le jata
meri virani pe hansta raha dariya us ka
Khaleel Tanveer
dur tak ek syahi ka bhanwar aaega
KHud mein utroge to aisa bhi safar aaega
Khaleel Tanveer
ahut aziz the us ko safar ke hangame
wo sab ke sath chala tha magar akela tha
Khaleel Tanveer
auron ki burai ko na dekhun wo nazar de
han apni burai ko parakhne ka hunar de
Khaleel Tanveer
apna lahu yatim tha koi na rang la saka
munsif sabhi KHamosh the uzr-e-jafa ke samne
Khaleel Tanveer