jo zaKHm deta hai to be-asar hi deta hai
KHalish wo de ki jise bhul bhi na paun main
Khaleel Tanveer
jin ko zamin dida-e-dil se aziz thi
wo kam-nigah log the hijrat na kar sake
Khaleel Tanveer
is bhare shahr mein din raat Thaharte hi nahin
kaun yaadon ke safar-name ko tahrir kare
Khaleel Tanveer
hudud-e-shahr se bahar bhi bastiyan phailin
simaT ke rah gae yun jangalon ke ghere bhi
Khaleel Tanveer
hudud-e-dil se jo guzra wo jaan-lewa tha
yun zalzale to kai is jahan mein aae
Khaleel Tanveer
harf ko barg-e-nawa deta hun
yun mere pas hunar kuchh bhi nahin
Khaleel Tanveer
hadson ki mar se TuTe magar zinda rahe
zindagi jo zaKHm bhi tu ne diya gahra na tha
Khaleel Tanveer
ghar mein kya gham ke siwa tha jo baha le jata
meri virani pe hansta raha dariya us ka
Khaleel Tanveer
dur tak ek syahi ka bhanwar aaega
KHud mein utroge to aisa bhi safar aaega
Khaleel Tanveer