aaj kuchh aise shoale bhaDke barish ke har qatre se
dhup panahen mang rahi hai bhige hue daraKHton mein
Kaif Ahmed Siddiqui
aaj phir shaKH se gire patte
aur miTTi mein mil gae patte
Kaif Ahmed Siddiqui
chaman mein shiddat-e-dard-e-numud se ghunche
taDap rahe hain magar muskurae jate hain
Kaif Ahmed Siddiqui
hum aaj kuchh hasin sarabon mein kho gae
aankhen khulin to jagte KHwabon mein kho gae
Kaif Ahmed Siddiqui
ek baras bhi abhi nahin guzra
kitni jaldi badal gae chehre
Kaif Ahmed Siddiqui
'kaif' kahan tak tum KHud ko be-dagh rakhkhoge
ab to sari duniya ke munh par syahi hai
Kaif Ahmed Siddiqui
'kaif' yun aaghosh-e-fan mein zehn ko nind aa gai
jaise man ki god mein bachcha sisak kar so gaya
Kaif Ahmed Siddiqui
KHuda malum kis aawaz ke pyase parinde
wo dekho KHamushi ki jhil mein utre parinde
Kaif Ahmed Siddiqui
KHushi ki aarzu kya dil mein Thahre
tere gham ne biTha rakkhe hain pahre
Kaif Ahmed Siddiqui