اردو हिंदी
Suraj aankhen khol raha hai sukhe hue daraKHton mein | Shaahi Shayari
suraj aankhen khol raha hai sukhe hue daraKHton mein

Ghazal

Suraj aankhen khol raha hai sukhe hue daraKHton mein

Kaif Ahmed Siddiqui

;

suraj aankhen khol raha hai sukhe hue daraKHton mein
sae rakh bane jate hain jite hue daraKHton mein

aaj kuchh aise shoale bhaDke barish ke har qatre se
dhup panahen mang rahi hai bhige hue daraKHton mein

KHamoshi bhi KHauf-zada hai aasebi aawazon se
sannaTe bhi kanp rahe hain sahme hue daraKHton mein

tanhai ki dulhan apni mang sajae baiThi hai
virani aabaad hui hai ujDe hue daraKHton mein

aaj to sare bagh mein KHwab-e-marg ka nashsha tari hai
lekin koi jag raha hai soe hue daraKHton mein

kaun musibat ke aam mein sath kisi ka deta hai
chand parinde chiKH rahe hain girte hue daraKHton mein