ek khilauna jogi se kho gaya tha bachpan mein
DhunDhta phira us ko wo nagar nagar tanha
Javed Akhtar
ek mohabbat ki ye taswir hai do rangon mein
shauq sab mera hai aur sari haya us ki hai
Javed Akhtar
in charaghon mein tel hi kam tha
kyun gila phir hamein hawa se rahe
Javed Akhtar
is shahr mein jine ke andaz nirale hain
honTon pe latife hain aawaz mein chhaale hain
Javed Akhtar
jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta
mujhe pamal raston ka safar achchha nahin lagta
Javed Akhtar
kabhi hum ko yaqin tha zoam tha duniya hamari jo muKHalif ho to ho jae magar tum mehrban ho
hamein ye baat waise yaad to ab kya hai lekin han ise yaksar bhulane mein abhi kuchh din lagenge
Javed Akhtar
kabhi jo KHwab tha wo pa liya hai
magar jo kho gai wo chiz kya thi
Javed Akhtar