KHud jise mehnat mashaqqat se banata hun 'jamal'
chhoD deta hun wo rasta aam ho jaane ke baad
Jamal Ehsani
aur ab ye chahta hun koi gham baTae mera
main apni miTTi kabhi aap Dhone wala tha
Jamal Ehsani
jo pahle roz se do aanganon mein tha hail
wo fasla to zamin aasman mein bhi na tha
Jamal Ehsani
'jamal' har shahr se hai pyara wo shahr mujh ko
jahan se dekha tha pahli bar aasman main ne
Jamal Ehsani
jaanta hun mere qissa-go ne
asl qisse ko chhupa rakkha hai
Jamal Ehsani
ek safar mein koi do bar nahin luT sakta
ab dobara teri chahat nahin ki ja sakti
Jamal Ehsani
hazar tarah ke the ranj pichhle mausam mein
par itna tha ki koi sath rone wala tha
Jamal Ehsani
hum aise be-hunaron mein hai jo saliqa-e-zist
tere dayar mein pal-bhar qayam se aaya
Jamal Ehsani
haarne walon ne is ruKH se bhi socha hoga
sar kaTana hai to hathiyar na Dale jaen
Jamal Ehsani