teri baaton ko chhupana nahin aata mujh se
tu ne KHushbu mere lahje mein basa rakkhi hai
Iqbal Ashhar
sataya aaj munasib jagah pe barish ne
isi bahane Thahar jaen us ka ghar hai yahan
Iqbal Ashhar
sochta hun teri taswir dikha dun us ko
raushni ne kabhi saya nahin dekha apna
Iqbal Ashhar
suno samundar ki shoKH lahro hawaen Thahri hain tum bhi Thahro
wo dur sahil pe ek bachcha abhi gharaunde bana raha hai
Iqbal Ashhar
tere kirdar ko itna to sharaf hasil hai
tu nahin tha to kahani mein haqiqat kam thi
Iqbal Ashhar
wahi to markazi kirdar hai kahani ka
usi pe KHatm hai tasir bewafai ki
Iqbal Ashhar
wo kisi ko yaad kar ke muskuraya tha udhar
aur main nadan ye samjha ki wo mera hua
Iqbal Ashhar
waise bhi us se koi rabt na rakkha main ne
yun bhi duniya mein kashish teri ba-nisbat kam thi
Iqbal Ashhar
sabhi apne nazar aate hain ba-zahir lekin
ruThne wala hai koi na manane wala
Iqbal Ashhar

