KHud ko hujum-e-dahr mein khona paDa mujhe
jaise the log waisa hi hona paDa mujhe
Iftikhar Naseem
agarche phul ye apne liye KHaride hain
koi jo puchhe to kah dunga us ne bheje hain
Iftikhar Naseem
jis ghaDi aaya palaT kar ek mera bichhDa hua
aam se kapDon mein tha wo phir bhi shahzada laga
Iftikhar Naseem
ji mein Thani hai ki jina hai bahar-haal mujhe
jis ko marna hai wo chup-chap hi marta jae
Iftikhar Naseem
is qadar bhi to na jazbaat pe qabu rakkho
thak gae ho to mere kandhe pe bazu rakkho
Iftikhar Naseem
hazar talKH hon yaaden magar wo jab bhi mile
zaban pe achchhe dinon ka hi zaiqa rakhna
Iftikhar Naseem
ghair ho koi to us se khul ke baaten kijiye
doston ka doston se hi gila achchha nahin
Iftikhar Naseem
fasl-e-gul mein bhi dikhata hai KHizan-dida-daraKHt
TuT kar dene pe aae to ghaTa jaisa bhi hai
Iftikhar Naseem
diwar o dar jhulaste rahe tez dhup mein
baadal tamam shahr se bahar baras gaya
Iftikhar Naseem