اردو हिंदी
Ye kahna tha jo duniya kah rahi hai | Shaahi Shayari
ye kahna tha jo duniya kah rahi hai

Ghazal

Ye kahna tha jo duniya kah rahi hai

Humaira Rahat

;

ye kahna tha jo duniya kah rahi hai
ye ganga kab se ulTi bah rahi hai

KHabar hai KHwab TuTega yaqinan
magar ek faKHta dukh sah rahi hai

lagi thi us ki buniyaadon mein dimak
so ab dil ki imarat Dhah rahi hai

kahin ye KHushk ho jae na sathi
mere dil mein jo nadiya bah rahi hai

sitara band muTThi mein milega
meri taqdir mujh se kah rahi hai

mere dil ke akele ghar mein 'rahat'
udasi jaane kab se rah rahi hai