اردو हिंदी
Hasan Nayeem Shayari | Shaahi Shayari

Hasan Nayeem Shers

28 Shers

jurat kahan ki apna pata tak bata sakun
jita hun apne mulk mein auron ke nam se

Hasan Nayeem


Tags: | 2 Lines Shayari |


jo mere dasht-e-junun mein tha farq-e-ru-e-bahaar
wahi KHirad ke KHarabe mein ek gulab bana

Hasan Nayeem


Tags: | 2 Lines Shayari |


jo bhi kahna hai kaho saf shikayat hi sahi
in ishaaraat-o-kinayat se ji Darta hai

Hasan Nayeem


Tags: | 2 Lines Shayari |


jahan dikhai na deta tha ek Tila bhi
wahan se log uTha kar pahaD lae hain

Hasan Nayeem


Tags: | 2 Lines Shayari |


itna roya hun gham-e-dost zara sa hans kar
muskuraate hue lamhat se ji Darta hai

Hasan Nayeem




'iqbaal' ki nawa se musharraf hai go 'naim'
urdu ke sar pe 'mir' ki ghazlon ka taj hai

Hasan Nayeem




gard-e-shohrat ko bhi daman se lipaTne na diya
koi ehsan zamane ka uThaya hi nahin

Hasan Nayeem




gham se bikhra na paemal hua
main to gham se hi be-misal hua

Hasan Nayeem


Tags: | Gham | | 2 Lines Shayari |


ek dariya par kar ke aa gaya hun us ke pas
ek sahra ke siwa ab darmiyan koi nahin

Hasan Nayeem