jab se kuchh qabu hai apna kakul-e-KHamdar par
sanp har dam loTta hai sina-e-aghyar pa
Haqeer
a-KHuda sajde karega wo biTha kar but ko
ab 'haqir' aage musalman rahe ya na rahe
Haqeer
ishq ke phande se bachiye ai 'haqir'-e-KHasta-dil
is ka hai aaghaz shirin aur hai anjam talKH
Haqeer
haqarat ki nigahon se na farsh-e-KHak ko dekho
amiron ka faqiron ka yahi aaKHir ko bistar hai
Haqeer
dekha baghaur aib se KHali nahin koi
bazm-e-jahan mein sab hain KHuda ke sanware log
Haqeer
chha gai ek musibat ki ghaTa chaar taraf
khule baalon jo wo dariya se naha kar nikle
Haqeer
chaar din ki bahaar hai sari
ye takabbur hai yar-e-jaani hech
Haqeer
ut-kade mein bhi gaya kabe ki jaanib bhi gaya
ab kahan DhunDhne tujh ko tera shaida jata
Haqeer
ut ko pujunga sanam-KHanon mein ja ja ke to main
us ke pichhe mera iman rahe ya na rahe
Haqeer