jo mere pas tha sab luT le gaya koi
kiwaD band rakhun ab mujhe hai Dar kis ka
Hakeem Manzoor
mujh mein the jitne aib wo mere qalam ne likh diye
mujh mein tha jitna husn wo mere hunar mein gum hua
Hakeem Manzoor
na jaane kis liye rota hun hanste hanste main
basa hua hai nigahon mein aaina koi
Hakeem Manzoor
eza reza raat bhar jo KHauf se hota raha
din ko sanson par abhi tak bojh us patthar ka hai
Hakeem Manzoor
shahr ke aain mein ye mad bhi likkhi jaegi
zinda rahna hai to qatil ki sifarish chahiye
Hakeem Manzoor
teri aankhon mein aansu bhi dekhe hain
tere hathon mein dekha hai KHanjar bhi
Hakeem Manzoor
tujh pe khul jaenge KHud apne bhi asrar kai
tu zara mujh ko bhi rakh apne barabar mein kabhi
Hakeem Manzoor