اردو हिंदी
Apni nazar se TuT kar apni nazar mein gum hua | Shaahi Shayari
apni nazar se TuT kar apni nazar mein gum hua

Ghazal

Apni nazar se TuT kar apni nazar mein gum hua

Hakeem Manzoor

;

apni nazar se TuT kar apni nazar mein gum hua
wo baDa ba-shuur tha apne hi ghar mein gum hua

marg-zada the rang sab aaine pusht-e-chashm the
ek wahi dard-mand tha KHauf-o-KHatar mein gum hua

raste aaine bane panw tamam rang the
is pe bhi ye sawal wo kaise safar mein gum hua

soch hawas mein na thi aankh hudud mein na thi
peD hawa mein uD gae sanp khanDar mein gum hua

har KHabar us se thi KHabar aur wo be-panah tha
harf-zada hua to phir ek KHabar mein gum hua

mauj-e-shafaq sarab thi marg-e-nazar KHayal tha
daera aab par raha nuqta bhanwar mein gum hua

mujh mein the jitne aib wo mere qalam ne likh diye
mujh mein tha jitna husn wo mere hunar mein gum hua