اردو हिंदी
Sare mamulat mein ek taza gardish chahiye | Shaahi Shayari
sare mamulat mein ek taza gardish chahiye

Ghazal

Sare mamulat mein ek taza gardish chahiye

Hakeem Manzoor

;

sare mamulat mein ek taza gardish chahiye
nam zamin par KHushk mausam ki nawazish chahiye

shahr ke aain mein ye mad bhi likkhi jaegi
zinda rahna ho to qatil ki sifarish chahiye

meri mushkil bhagte lamhon ko pakDun kis tarah
zid use an-dekhe KHwabon ki numaish chahiye

bhejta main kis ko subhon ki kunwari raushni
us ko buDhi raat ke rangon ki tabish chahiye

sukhte alfaz ke mausam mein harf-e-tar hun main
phir saza pahle samaat ki nawazish chahiye

jo hamara tha wo nikla aaftabon ka halif
kis KHuda se ab kaha jae ki barish chahiye

baryabi shart-e-KHamoshi pe hai wo is tarah
pahle hi tafsil-e-ahwal-e-guzarish chahiye

buz-dili meri thi jo 'manzur' main zaKHmi hua
wo sipar-bardar the un ki sataish chahiye