ab khul ke kaho baat to kuchh baat banegi
ye daur-e-ishaaraat-o-kinayat nahin hai
Hafeez Merathi
kya jaane kya sabab hai ki ji chahta hai aaj
rote hi jaen samne tum ko biTha ke hum
Hafeez Merathi
kabhi kabhi hamein duniya hasin lagti thi
kabhi kabhi teri aankhon mein pyar dekhte the
Hafeez Merathi
ek ajnabi ke hath mein de kar hamara hath
lo sath chhoDne laga aaKHir ye sal bhi
Hafeez Merathi
har sahaara be-amal ke waste be-kar hai
aankh hi khole na jab koi ujala kya kare
Hafeez Merathi
hae wo naghma jis ka mughanni
gata jae rota jae
Hafeez Merathi
ad-tar hai maut se bhi ghulami ki zindagi
mar jaiyo magar ye gawara na kijiyo
Hafeez Merathi
abhi se hosh uDe maslahat-pasandon ke
abhi main bazm mein aaya abhi bola kahan bola
Hafeez Merathi