ye bhi ek rang hai shayad meri mahrumi ka
koi hans de to mohabbat ka guman hota hai
Ghulam Mohammad Qasir
zamanon ko uDanen barq ko raftar deta tha
magar mujh se kaha Thahre hue sham-o-sahar le ja
Ghulam Mohammad Qasir
har bachcha aankhen kholte hi karta hai sawal mohabbat ka
duniya ke kisi goshe se use mil jae jawab to achchha ho
Ghulam Mohammad Qasir
ab usi aag mein jalte hain jise
apne daman se hawa di hum ne
Ghulam Mohammad Qasir
arud ke badle hathon mein aa jae kitab to achchha ho
ai kash hamari aankhon ka ikkiswan KHwab to achchha ho
Ghulam Mohammad Qasir
aghair us ke ab aaram bhi nahin aata
wo shaKHs jis ka mujhe nam bhi nahin aata
Ghulam Mohammad Qasir
ayaban dur tak main ne sajaya tha
magar wo shahr ke raste se aaya tha
Ghulam Mohammad Qasir
din andheron ki talab mein guzra
raat ko shama jala di hum ne
Ghulam Mohammad Qasir
galiyon ki udasi puchhti hai ghar ka sannaTa kahta hai
is shahr ka har rahne wala kyun dusre shahr mein rahta hai
Ghulam Mohammad Qasir