kya ilm ki rote hon to mar jate hon 'faisal'
wo log jo aankhon ko kabhi nam nahin karte
Faisal Ajmi
aaj phir aaina dekha hai kai sal ke baad
kahin is bar bhi ujlat to nahin ki gai hai
Faisal Ajmi
kabhi dekha hi nahin is ne pareshan mujh ko
main ki rahta hun sada apni nigahbani mein
Faisal Ajmi
kabhi bhulaya kabhi yaad kar liya us ko
ye kaam hai to bahut mujh se kaam us ne liya
Faisal Ajmi
jism thakta nahin chalne se ki wahshat ka safar
KHwab mein naql-e-makani ki tarah hota hai
Faisal Ajmi
harf apne hi maani ki tarah hota hai
pyas ka zaiqa pani ki tarah hota hai
Faisal Ajmi
'faisal' mukalima tha hawaon ka phul se
wo shor tha ki mujh se suna tak nahin gaya
Faisal Ajmi
chand KHushiyon ko baham karne mein
aadmi kitna bikhar jata hai
Faisal Ajmi
adawaton mein jo KHalq-e-KHuda lagi hui hai
mohabbaton ko koi bad-dua lagi hui hai
Faisal Ajmi

