KHuda ne ilm baKHsha hai adab ahbab karte hain
yahi daulat hai meri aur yahi jah-o-hasham mera
Chakbast Brij Narayan
adab talim ka jauhar hai zewar hai jawani ka
wahi shagird hain jo KHidmat-e-ustad karte hain
Chakbast Brij Narayan
is ko na-qadri-e-alam ka sila kahte hain
mar chuke hum to zamane ne bahut yaad kiya
Chakbast Brij Narayan
ek silsila hawas ka hai insan ki zindagi
is ek musht-e-KHak ko gham do-jahan ke hain
Chakbast Brij Narayan
hai mera zabt-e-junun josh-e-junun se baDh kar
nang hai mere liye chaak-e-gareban hona
Chakbast Brij Narayan
gunah-garon mein shamil hain gunahon se nahin waqif
saza ko jaante hain hum KHuda jaane KHata kya hai
Chakbast Brij Narayan
ek saghar bhi inayat na hua yaad rahe
saqiya jate hain mahfil teri aabaad rahe
Chakbast Brij Narayan
charagh qaum ka raushan hai arsh par dil ke
use hawa ke farishte bujha nahin sakte
Chakbast Brij Narayan
azizan-e-watan ko ghuncha o barg o samar jaana
KHuda ko baghban aur qaum ko hum ne shajar jaana
Chakbast Brij Narayan