hum bhaTakte rahe andhere mein
raushni kab hui nahin malum
Bekal Utsahi
farsh ta arsh koi nam-o-nishan mil na saka
main jise DhunDh raha tha mere andar nikla
Bekal Utsahi
farishte dekh rahe hain zamin o charKH ka rabt
ye fasla bhi to insan ki ek jast lage
Bekal Utsahi
daur-e-hazir ki bazm mein 'bekal'
kaun hai aadmi nahin malum
Bekal Utsahi
chandi ke gharondon ki jab baat chali hogi
miTTi ke khilaunon se bahlae gae honge
Bekal Utsahi
ich saDak ek lash paDi thi aur ye likkha tha
bhuk mein zahrili roTi bhi miThi lagti hai
Bekal Utsahi
'bekal'-ji kis fikr mein baiThe ho man mar
kaghaz ki ek oT hai zindan ki diwa
Bekal Utsahi
adan ki aanch se sanwla gae hain pairahan
main phir bhi subh ke chehre pe sham likhta hun
Bekal Utsahi
azm-e-mohkam ho to hoti hain balaen paspa
kitne tufan palaT deta hai sahil tanha
Bekal Utsahi