kan paDti nahin aawaz koi
dil mein wo shor bapa hai apna
Baqi Siddiqui
is badalte hue zamane mein
tere qisse bhi kuchh purane lage
Baqi Siddiqui
ho gae chup hamein pagal kah kar
jab kisi ne bhi na samjha hum ko
Baqi Siddiqui
har yaad har KHayal hai lafzon ka silsila
ye mahfil-e-nawa hai yahan bolte raho
Baqi Siddiqui
har nae hadse pe hairani
pahle hoti thi ab nahin hoti
Baqi Siddiqui
hum ki shoala bhi hain aur shabnam bhi
tu ne kis rang mein dekha hum ko
Baqi Siddiqui
hae wo baaten jo kah sakte nahin
aur tanhai mein dohraate hain hum
Baqi Siddiqui
ek pal mein wahan se hum uTThe
baiThne mein jahan zamane lage
Baqi Siddiqui
ek diwar uThane ke liye
ek diwar gira dete hain
Baqi Siddiqui