ye log ja ke kaTi bogiyon mein baiTh gae
samay ko rail ki paTri ke sath chalne diya
Azhar Faragh
ye nahin dekhte kitni hai riyazat kis ki
log aasan samajh lete hain aasani ko
Azhar Faragh
ek hone ki qasmen khai jaen
aur aaKHir mein kuchh diya liya jae
Azhar Faragh
achchhe-KHase logon par bhi waqt ek aisa aa jata hai
aur kisi par hanste hanste KHud par rona aa jata hai
Azhar Faragh
aisi ghurbat ko KHuda ghaarat kare
phul bhejwane ki gunjaish na ho
Azhar Faragh
adal ke dekh chuki hai reaya sahib-e-taKHt
jo sar qalam nahin karta zaban khinchta hai
Azhar Faragh
ahut ghanimat hain hum se milne kabhi kabhi ke ye aane wale
wagarna apna to shahr bhar mein makan tale se jaana jae
Azhar Faragh
ahut se sanp the is ghaar ke dahane par
dil is liye bhi KHazana shumar hone laga
Azhar Faragh
ata raha hai jhaTakna teri kalai ka
zara bhi ranj nahin hai tujhe judai ka
Azhar Faragh