ana leta hai mauj-e-KHun-e-dil se ek chaman apna
wo paband-e-qafas jo fitratan aazad hota hai
Asghar Gondvi
e-mahaba ho agar husn to wo baat kahan
chhup ke jis shan se hota hai numayan koi
Asghar Gondvi
istar-e-KHak pe baiTha hun na masti hai na hosh
zarre sab sakit-o-samit hain sitare KHamosh
Asghar Gondvi
chala jata hun hansta khelta mauj-e-hawadis se
agar aasaniyan hon zindagi dushwar ho jae
I go laughing playing with waves of adversity
If life were to be easy, unbearable it would be
Asghar Gondvi
chhuT jae agar daman-e-kaunain to kya gham
lekin na chhuTe hath se daman-e-mohammad
Asghar Gondvi
aalam-e-rozgar ko aasan bana diya
jo gham hua use gham-e-jaanan bana diya
Asghar Gondvi
ek aisi bhi tajalli aaj mai-KHane mein hai
lutf pine mein nahin hai balki kho jaane mein hai
Asghar Gondvi
hal kar liya majaz haqiqat ke raaz ko
pai hai main ne KHwab ki tabir KHwab mein
Asghar Gondvi
hum us nigah-e-naz ko samjhe the neshtar
tum ne to muskura ke rag-e-jaan bana diya
Asghar Gondvi