tumhein nahin ho agar aaj gosh-bar-awaz
ye meri fikr ye meri nawa hai kis ke liye
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
surahi-e-mai-e-nab-o-safina-ha-e-ghazal
ye harf-e-husn-e-muqaddar likha hai kis ke liye
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
sar-e-KHar se sar-e-sang se jo hai mera jism lahu lahu
kabhi tu bhi to mere sang-e-mil kabhi rang mere safar ke dekh
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
ajib us se talluq hai kya kaha jae
kuchh aisi sulh nahin hai kuchh aisi jang nahin
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
main tujh ko bhul na paun yahi saza hai meri
main apne-ap se leta hun intiqam apna
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
luTa jo us ne mujh ko to aabaad bhi kiya
ek shaKHs rahzani mein bhi rahbar laga mujhe
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
lao ek lamhe ko apne-ap mein Dub ke dekh aaun
KHud mujh mein hi mera KHuda ho ye bhi to ho sakta hai
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
kabhi KHushbu kabhi saya kabhi paikar ban kar
sabhi hijron mein visalon mein mere pas raho
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
jo bar-e-dosh raha sar wo kab tha shorida
baha na jis se lahu wo rag-e-gulu kya thi
Akbar Ali Khan Arshi Zadah

