main ne ai dil tujhe sine se lagaya hua hai
aur tu hai ki meri jaan ko aaya hua hai
Ajmal Siraj
ab aap KHud hi bataen ye zindagi kya hai
karam bhi us ne kiye hain magar sitam jaise
Ajmal Siraj
kuchh kahna chahte the ki KHamosh ho gae
dastar yaad aa gai sar yaad aa gaya
Ajmal Siraj
kisi ke hijr mein jina muhaal ho gaya hai
kise bataen hamara jo haal ho gaya hai
Ajmal Siraj
kaun aata hai is KHarabe mein
is KHarabe mein kaun aata hai
Ajmal Siraj
gham sabhi dil se ruKHsat hue
dard be-intiha rah gaya
Ajmal Siraj
dikha dunga tamasha di agar fursat zamane ne
tamasha-e-farawan ko farawan kar ke chhoDunga
Ajmal Siraj
atao tum se kahan rabta kiya jae
kabhi jo tum se zarurat ho baat karne ki
Ajmal Siraj
as ek sham ka har sham intizar raha
magar wo sham kisi sham bhi nahin aai
Ajmal Siraj

