kahan main aur kahan gosha-nashini ka ye elan
ye sara silsila mashhur hone ke liye tha
Ahmad Sagheer Siddiqui
aana zara tafrih rahegi
ek mahfil-e-sadmat karenge
Ahmad Sagheer Siddiqui
kab se main safar mein hun magar ye nahin malum
aane mein laga hun ki main jaane mein laga hun
Ahmad Sagheer Siddiqui
ji-bhar ke sitare jagmagaen
mahtab bujha diya gaya hai
Ahmad Sagheer Siddiqui
ishq ek mashghala-e-jaan bhi to ho sakta hai
kya zaruri hai ki aazar kiya jae use
Ahmad Sagheer Siddiqui
is ishq mein na puchho haal-e-dil-e-darida
tum ne suna to hoga wo sher 'mushafi' ka
Ahmad Sagheer Siddiqui
hum ki ek umr rahe ishwa-e-duniya ke asir
muddaton baad ye kam-zat samajh mein aai
Ahmad Sagheer Siddiqui
gard ki tarah sar-e-rahguzar baiThe hain
in dinon aur hi andaz-e-safar hai apna
Ahmad Sagheer Siddiqui
charagh un pe jale the bahut hawa ke KHilaf
bujhe bujhe hain tabhi aaj baam-o-dar mere
Ahmad Sagheer Siddiqui