mujh ko malum hai mahbub-parasti ka azab
der se chand nikalna bhi ghalat lagta hai
Ahmad Kamal Parwazi
aag to chaaron hi jaanib thi par achchha ye hai
hosh-mandi se kisi chiz ko jalne na diya
Ahmad Kamal Parwazi
main qasida tera likkhun to koi baat nahin
par koi dusra dohrae to shak karta hun
Ahmad Kamal Parwazi
main ne is shahr mein wo Thokaren khai hain ki ab
aankh bhi mund ke guzrun to guzar jata hun
Ahmad Kamal Parwazi
main is liye bhi tere fan ki qadr karta hun
tu jhuT bol ke aansu nikal leta hai
Ahmad Kamal Parwazi
KHudaya yun bhi ho ki us ke hathon qatl ho jaun
wahi ek aisa qatil hai jo pesha-war nahin lagta
Ahmad Kamal Parwazi
jo kho gaya hai kahin zindagi ke mele mein
kabhi kabhi use aansu nikal ke dekhte hain
Ahmad Kamal Parwazi
is qadar aap ke badle hue tewar hain ki main
apni hi chiz uThate hue Dar jata hun
Ahmad Kamal Parwazi
ek hi tir hai tarkash mein to ujlat na karo
aise mauqe pe nishana bhi ghalat lagta hai
Ahmad Kamal Parwazi