اردو हिंदी
Wo ab tijarati pahlu nikal leta hai | Shaahi Shayari
wo ab tijarati pahlu nikal leta hai

Ghazal

Wo ab tijarati pahlu nikal leta hai

Ahmad Kamal Parwazi

;

wo ab tijarati pahlu nikal leta hai
main kuchh kahun to taraazu nikal leta hai

wo phul toDe hamein koi e'tiraaz nahin
magar wo toD ke KHushbu nikal leta hai

main is liye bhi tere fan ki qadr karta hun
tu jhuT bol ke aansu nikal leta hai

andhere chir ke jugnu nikalne ka hunar
bahut kaThin hai magar tu nikal leta hai

wo bewafai ka izhaar yun bhi karta hai
parinde mar ke bazu nikal leta hai