kya bujhaega mere dil ki lagi wo shola-ru
dauDta hai jo laga ke aag pani ke liye
Agha Hajju Sharaf
KHalwat-sara-e-yar mein pahunchega kya koi
wo band-o-bast hai ki hawa ka guzar nahin
Agha Hajju Sharaf
kaha jo main ne mere dil ki ek taswir khinchwa do
manga kar rakh diya ek shisha chaknachur pahlu mein
Agha Hajju Sharaf
kabhi jo yar ko dekha to KHwab mein dekha
meri murad bhi aai to mustaar aai
Agha Hajju Sharaf
aamad aamad hai tere shahr mein kis wahshi ki
band rahne ki jo takid hai bazaron ko
Agha Hajju Sharaf
jashn tha aish-o-tarab ki intiha thi main na tha
yar ke pahlu mein KHali meri ja thi main na tha
Agha Hajju Sharaf
ishq-bazon ki kahin duniya mein shunwai nahin
in gharibon ki qayamat mein samaat ho to ho
Agha Hajju Sharaf
ishq ho jaega meri dastan-e-ishq se
raat bhar jaga karoge is kahani ke liye
Agha Hajju Sharaf
hamesha shefta rakhte hain apne husn-e-qudrat ka
KHud us ki ruh ho jate hain jis ka tan banate hain
Agha Hajju Sharaf

