kis jaTa-dhaari show se sikha tha
aur kab ab ye baat yaad nahin
nag-widdya ka gan sanpon ko
bas mein karne ka fan hamara tha
nag-swami the zahr ko tiryaq
mein badalne ka ilm rakhte the
Dar se niwDhae apne nag-phani
sanp KHud mangte the hum se panah
nag-widdya ka sara gyan liye
hum kamal-e-hunar ke malik the
lekin ek din ajib baat hui
ek wish-kanya pyar se aa kar
yun gale lag gai ki sara gyan
bas ko amrit mein zahr ko tiryaq
main badalne ka ilm sab mantar
bhul baiThe ki us ke honTon ka
zahr aab-e-hayat tha aur hum
lakh janmon ki pyas rakhte the
Nazm
Wish-kanya
Satyapal Anand

